Poetry's

         $ meri duaon mein asar aaj bhi hai $

Is dard bhari zindagi ka suraag dhundhta hoon,
Hai andhera bahut yahan ek chiraag dhundtha hoon..

Banaya tha tamasha jisne zindagi ko is tarah,
Ke un meherbaanon ka illaaj dhundhta hoon..

Koi in andheron mein mere dil ki shama jala de,
Main apni badnaseebi ka raaz dhundhta hoon..

Hasraton ka aayina ye patthar dil se toot gaya,
Seeshon ke in tukdo mein apna aaj dhundhta hoon...
 
 
Mohabbat ka gumaan hota bahut hai
Ke ab yeh lafz bhi ruswaa bahut hai

Udaasi ka sabab mein kya bataun
Galli koochon mein sanaatta bahut hai

Tujhe maaloom to hoga meri jaan
Tujhe $^H.J.^$ ne chaha bahut hai

Na milne ki kasam kha ke bhi maine
Tujhe har raah mein dhoonda bahut hai

Ye aankhein aur kya kisi ko dekhe
In aankhon ne kisi ko dekha bahut hai

Na jaane kyu bacha rakhe hai aansu
Abhi shayad mujhe rona bahut hai..
 
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Koyi saath na de mera, chalna mujhe aata hai...
shaheen sifat hoon main, udna mujhe aata hai...

mushkil mein balaaon mein, hasna meri aadat hai...
har moujhon aur toofanon se, ladna mujhe aata hai...

milta hai sukoon mujhko, sohbat mein gharibon ki...
khudgarz amiron se, bachna mujhe aata hai...

hai zulm amiron ka, ke duniya mein gharibi hai...
zaalim ke muqabbil mein, datna mujhe aata hai...

jhoothon ke farebon se, hai bair sada mujhko...
sachhon ki hifazat mein, marna mujhe aata hai...

mitti se bana hu lekin, hai asl mera paani...
behna meri fitrat hai, badhna mujhe aata hai...
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
Kisi benaam ki hasti mitaa di tumne;♥

Mahel na sahi, magar uska to wo aashiyaan tha,
Kisi muflis ko aukaat dikha di tumne;♥♥

Sabr na raha, magar phir bhi wo be zabaan tha,
Kisi shayar ko khamoshi sikha di tumne;♥♥

Umr to thi baki, magar zinda bhi wo kahan tha,
Kisi bujhi hui chingari ko hawa di tumne;♥♥

Dard bhari zindagi mein khushi ka wo lamHah tha,
Kisi ki haqeeqat ko kahani bana di tumne;♥♥

Rahi jo unkahi, wo zindagi ka ek armaan tha,
Kisi zaakir ko bad naseebi suna di tumne;♥♥

Kisi gharib ki basti jalaa di tumne,
Kisi benaam ki hasti mitaa di tumne.
  
 
....................Its H.J......................................................................... 
 
 Aaj fir se sanam tere bina rehna sikh liya hai maine,
zazbaat-e-dil ab khudhi me chipaana sikh liya hai maine..
Ek aansu hu jo kuch waqt ke liye sukh gya tha aankho me,
aaj phir hu tanha to aankho se behna seekh liya maine... 
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Do din ke mehmaan ban ke, wo alvida mujhe keh gaye,
kuch na us se puchh sake, bas sochte hi reh gaye,
wo bhi gair mai bhi gair, phir bhi kiya mujhe keh gaye,
dur to wo pehle hi the, ab na jane kaha jake beh gaye
hum baithe the unki raho mai, kisi aur ko sath le gaye
un ke liye ro bhi nahi sakte, jate jate gair mujhe keh gaye
ose vidha karke hum, na jane chup keise beh gaye
afsos na hua ose jane ka, barri khushi se "bye" keh gaye
jaha bhi raho khush hi raho, jannat tujhe mubarak ho
dost dost kehte kehte, apni dosti bhi sath leh gaye...........

AUR HUM TO PEHLE BHI TANHA THEY AB TO ZINDA LASH BAN K REH GAYE  


....................Its H.J.........................................................................

Itna toota hoon ki choone se bikhar jaaunga...
Ab agar aur dua doge to mar jaaunga....

Pooch kar mera pata waqt rah-e-gah na karo...
Main to banzara hoon kya jaane kidhar jaaunga....

Har taraf dhund hai jugnu hai na chirag koi...
Kaun pehchaanega basti mein agar aa jaaunga....

'Zindagi' main bhi musafir hoon teri kashti ka...
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaaunga....

Phool rah jayenge guldaan mein yaadon ki nazar...
Main to khushbu hoon fizaon mein bikhar jaaunga....

Itna toota hoon ki choone se bikhar jaaunga...
Ab agar aur dua doge to mar jaaunga......
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Bahot khubsoorat ghazal likh raha hoon...
Tumhe dekh kar aaj kal likh raha hoon...

Mile kab kahan, kitne lamhe gujaare...
Main gin gin ke wo saare pal likh raha hoon...

Bahot khubsoorat ghazal likh raha hoon...
Tumhe dekh kar aaj kal likh raha hoon...

Tumhare jawaan khubsoorat badan ko...
Taraasha hua ek Mahal likh raha hoon...

Bahot khubsoorat ghazal likh raha hoon...
Tumhe dekh kar aaj kal likh raha hoon...

Na poochho meri bekarari ka aalam...
Main raaton ko karvat badal badal likh raha hoon...

Bahot khubsoorat ghazal likh raha hoon...
Tumhe dekh kar aaj kal likh raha hoon...
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Tadbeer se bigadi hui Taqdeer bana le...
Apne pe bharosa hai to ek daanv laga le...

Darta hai zamane ki nigaahon se bhala kyun...
Insaaf tere saath hai ilzaam utha le...

Apne pe bharosa hai to ek daanv laga le.....

kya khaak woh jeena hai jo apne hi liye ho...
khud mit ke kisi aur ko mitne se bachha le...

Apne pe bharosa hai to ek daanv laga le.....

Tooti hui patwaar hain kashti ke to hum kya...
haari hui baahon ko hi patwaar bana le...

Apne pe bharosa hai to ek danv laga le.....
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Mere Sabr Ka Na le Imtehaan..
Meri Khaamoshi Ko Sada Na De..

Jo Tere Bina Jee Na Sake..
Use Jeene Ki Tu Dua Na De...

Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faaslaa..
Kahin Waqt Aur Badha Na De...

Tujhe Bhool Kar Na Bhula Sakun..
Tujhe Chah Kar Bhi Na Paa Sakun...

Meri Hasraton Ko Shumaar Kar..
Meri Chahaton Ka Sila Na De...

Woh Tadap Jo Shula-e-jaan Mein Thee..
Mere Tan Badan Se Lipat Gayee...

Jo Bujha Sake Tu To Bujha Ise..
Na Bujha Sake To Hawa Na De...

Tujhe Gar Mile Kabhi Fursatein..
To Meri shaam Phir Se Sanwaar De...

Gar Katl Karnas Hai To Katl Kar Yun..
Par Judaaiyon Ki Saza Na De......
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Meri sochhon ke harpal mein, tum kyo aa jaati ho,
Mere dil ko anjaane mein, tum kyun tadpaati ho,

Is Daman mein to bas, kaanton ka gulshan hai,
Phir is banzar duniya mein, kyun phool sajaati ho,

Dewana bhi kehta hai, ye chaand kahan se aaya,
Taaron ki jhurmat mein, jab tum sharmaati ho,

Phir koun na chahega, jeete jee hi marna,
Apni aankhon mein jab, samundar bhar kar laati ho,

Is veerane se ghar mein, bahare lout aati hai,
Jab dil ke darwaze par, dastak de kar jaati ho,

Ye dil to pagal hai, bas jhoomta hi rehta hai,
"Tum mere Humsafar ho", jab keh kar jaati ho....
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Mila woh bhi nahi karte, Mila hum bhi nahi karte..
Bewafai woh bhi nahi karte, Bewafai hum bhi nahi karte..

Unhe ruswai ka dukh hai, Hame tanhai ka dukh hai..
Gila woh bhi nahi karte, Gila hum bhi nahi karte..

Gali ke kisi mod par aksar takraav ho hi jata hai..
Ruka woh bhi nahi karte, Ruka hum bhi nahi karte..

Unhe jab dekhte hain sochte hain kuch kahen un se..
Suna woh bhi nahi karte, Kaha hum bhi nahi karte..

Hame woh dekhte hain, Unhe hum dekhte hain..
Raha woh bhi nahi karte, Raha hum bhi nahi karte....
 
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Tere Naam Ek Ghazal Likh Raha Hoon..
Ek Hijar Ka Wasal Likh Raha Hoon..

Tere Chehrey Ki Khoobsurti Ko..
Ek Chaand Likh Raha Hoon..

Teri Bheegi Huwi Zulfoon Par..
Ek Deewaan Likh Raha Hoon..

Tere Hontthon Ki Pyaas Ko..
Ek Sharaab Likh Raha Hoon..

Tere Hasney ke Andaaz Ko..
Ek Shabbab Likh Raha Hoon..

Tere Ashqoun Ki Barsaat Ko..
Ek Dariya Likh Raha Hoon..

Teri Naazuk Adaoon Ko..
Ek Gulab Likh Raha Hoon..

Teri Dilkash Aawaz Ko..
Ek Koyal Likh Raha Hoon..

Teri Aankhon Ki Kashish Ko..
Ek Jaam Likh Raha Hoon..

Tere Naam Ke Intisaab Par Main..
Bus Ek Kitaab Likh Raha Hoon...
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Nibhaate rahe har vaade zindagi ke aye Dost..
Karke Dosti kisi se hum toda nahin karte..

Apne Afsaane ke khud hi maalik hai hum..
Apne Fasaane kisi se hum kaha nahin karte..

Kar lete hain tanhayeeon mein khud se hi baatein..
Dard apne dil ka kisi se hum kaha nahin karte..

Andheron se hi ab kar li hai Dosti hamne..
Ujaale ab hame bhaaya nahi karte...
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Hazaron Khwaishen Aisi Ke Har Khwaish Mein Dum Nikle..
Bahut Nikle Mere Armaan Magar Phir Bhi Kam Nikle..

Nikalna Khund Se Adam Ka Sunte Aaye Hai Lekin..
Bahut Beabroo Ho Kar Tere Kooche Se Gum Nikle..

Mohabbat Mein Nahi Hai Fark Jeene Aur Marne Ka..
Usi Ko Dekh Kar Jeete Hai Jis Kaafil Pe Dum Nikle..

Khuda Ke Waaste Parda Naqaab Se Utha Zaalim..
Kahin Aisa Na Ho Yahan Bhi Wahi Kaafil Sanam Nikle..

Kahan Maikhane Ka Darwaza Ghalib Aur Kahan Waiz..
Par Itna Jaante Hai Kal Woh Chahta Tha Ke Hum Nikle..

Hazaron Khwaishen Aisi Ke Har Khwaish Mein Dum Nikle...
Bahut Nikle Mere Armaan Magar Phir Bhi Kam Nikle...
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Ek pal mein ek sadi ka maza hum se poochiye..
Do din ki zindagi ka maza hum se poochiye..

Woh jaan hi gaye ki hame unse pyaar hai..
Aankhon ki mukhbari ka maza hum se poochiye..

Bhule hai rafta rafta unhe muddaton mein hum..
Kishton mein khudkhusi ka maza hum se poochiye..
 
  ....................Its H.J.........................................................................
 
Dil ke kareeb aakar woh jab dur ho gaye..
Saare haseen khwaab mere chur chur ho gaye..

Hum ne wafa nibhayee to badnaamiyan mili..
Jo log bewafa the woh mashhoor ho gaye..

Kuch zakhm aise de gaya woh khel khel mein..
Ek Ek karke saare hi naasoor ho gaye..

Ab jhoot ke tarazu par sach tolte hain log..
Kitne yahan ajeeb se dastoor ho gaye..

Apni zubaan se maine jo taala hata diya..
Chehare tamaam logon ke be-noor ho gaye..

Suraj ke saath rehkar main bhula nahi adab..
Jugnuon ka sath paakar woh maghroor ho gaye...

Dil ke kareeb aakar woh jab dur ho gaye..
Saare haseen khwaab mere chur chur ho gaye..